Tuesday 11 February 2014

KAHIN DIN KE BAAD DOSTH MIL JAAYE !!!!!!

Original song:- KAHIN DOOR JAB DIN DHAL JAAYE FROM THE FILM "AANAND":-

kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye
mere Kayaalon ke aangan mein
koi sapanon ke deep jalaaye deep jalaaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye
kabhi yunhin jab huyi bojhal saansen
bhar aayi baithe baithe jab yuhin aankhen
tabhi machal ke pyar se chal ke
chuye koyi mujhe par nazar na aaye nazar na aaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye
kahin to ye dil kabhi mil nahin paate
kahin se nikal aaye janmon ke naate
ghani thi ulajhan bairi apanaa man
apanaa hi hoke sahe dard paraaye dard paraaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye
mere Kayaalon ke aangan mein
koi sapanon ke deep jalaaye deep jalaaye
dil jaane mere saare bhed ye gahare
ho gaye kaise mere sapane sunahare
ye mere sapane yahi to hain apane
mujhase juda na honge inake ye saaye inake ye saaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye

SONG WRITTEN BY ME :-

kahin din ke baad dosth mil jaaye
saanjh savere masthi kar aaye  ghoom ke  aaye
mere Khayaalon ke aangan mein
koi dosthi ki deep jalaaye deep jalaaye
kahin din ke baad dosth mil jaaye
saanjh savere masthi kar aaye  ghoom ke  aaye
kabhi yuhin jab huyi bahut saari baathein
bhar aayi baithe baithe meri dono aankhen
thabhi machal ke dheere se chal ke
chhuye koyi mera mann pyar se aake pyar se aake
kahin din ke baad dosth mil jaaye
saanjh savere masthi kar aaye  ghoom ke  aaye

kahin din dosth kabhi mil nahin paate
kahin se nikal aaye dil ki yeh baathein
ghani thi ulajhan phir bhi apanaa man
apanaa hi hoke kahe dosth hai pyare dosth hai pyare
kahin din ke baad dosth mil jaaye
saanjh savere masthi kar aaye  ghoom ke  aaye
mere Kayaalon ke aangan mein
koi dosthi ki deep jalaaye deep jalaaye
dil jaane mere saare dosth jo tehre
ho gaye kaise mere apno se gehre
Kaha mere dil ne yahi to hain apne
mujhse juda na honge in ke ye saaye in ke ye saaye
kahin din ke baad dosth mil jaaye
saanjh savere masthi kar aaye  ghoom ke  aaye